SURAH BAQARAH NQDG10 O F S URAH B AQARAH I NTRODUCTION BY PICTURE R - - PowerPoint PPT Presentation
SURAH BAQARAH NQDG10 O F S URAH B AQARAH I NTRODUCTION BY PICTURE R - - PowerPoint PPT Presentation
SURAH BAQARAH NQDG10 O F S URAH B AQARAH I NTRODUCTION BY PICTURE R UKU KU #1 #1 Ayat Dos Donts no Harof e Muqatiat ko tord k In haroof ka matlab jan'ne ki parho jaisa kay Hazrat koshish na kerna or na Allah ne 1 Mohammad(s.a.w)
OF SURAH BAQARAH
INTRODUCTION BY PICTURE
RUKU
KU #1
#1
Ayat no Do’s Don’ts
1
Harof e Muqatiat ko tord k parho jaisa kay Hazrat Mohammad(s.a.w) nay parha In haroof ka matlab jan'ne ki koshish na kerna or na Allah ne in kay meaning batain hain
2
Is kitaab se hadayat lo taa’k mutaqeen main shamil hon Is kitaab mai shak na karo
3
Mutaqeen banne kai liey ghaib per iman lao,namaz qaim karo or Allah k diey hoey rizk se kharch karo
4
Quran,pehli asmani kitaboon
- r akhraat per iman lao
6
Un logon k liey ghamgeen na hon jo iman nahi laatay
5
RUKU
KU #2
#2
Ayat no Do’s Don’ts 10 Quran k baray main shak main na paro
11
Zameen main fasad na karo
13
Apna imaan sahaba ikraam ke tarah mazboot karo jis ke misal Allah Quran main detay hain Imaan lanay walon ko bewqoof mat samjo
15
Itne sarkish na ho jain ke Allah dheel deta jaey
16
Hadayat ke badlay gumrahi ka soda na karo
20
Allah ki qudrat pe yakeen rakho
6
RUKU
KU #3
#3
Ayat no Do’s Don’ts 21 Allah ke ibadat karo jisnay paida kiya ta’ke dozakh se bach jao
22
Allah ke muqablay main dusroon ko ma’bood na banao
23
Is kalaam mai shak na karo kion k aisa kalaam Allah ke siwa koi nahi bana sakta
25 & 26
Imaan lao or naik kaam karo take namatoon wali janat mil sakay Allah ki haqeer misal se gumrah ho ker faskeen mai shamal na ho jana
27
Allah kay sath ehad ko nabao werna khasara panay waloon main ho jao gay
7
RUKU
KU #4
#4
Ayat no Do’s Don’t 30 Is baat per yakeen rakho jo Allah janta hai wo hum nahi jantay
31
Ilm hasil karo.Deen or dunya dono ka ilm zaroori hai
32
Is baat per yakeen rakho k Allah ilm ke sath hikmaat ka bhi malik hai
34
Allah ka kehna na maan ker or gharoor ker ke shaitaan ki tarah kafroon main shamil na ho jao
35
Allah ki jaiz naimatoon ka istamaal karo Jis cheez se Allah ne mana kia hai us se baaz raho
36
Is baat per yakeen rakho k Shitaan insaan ka khula dushman hai
8
RUKU
KU #4
#4
Ayat no Do’s Don’ts 37 Ghalat kaam per Allah se touba karno or touba ki pehli shart sharmindagi hai
38
Allah ke ahkamat ki pairwi karo tu na kabhi khaufzada or ghamgheen na hon Allah ko dhooka nahi dain warna munafiqoon main shumar hon gay jin ke liey azabe aleem hai
39
Allah ke sath kufar or takzeeb na karo warna jahanam thikana ho ga
9
RUKU
KU #5
#5
Ayat no Do’s Don’ts 40 Allah ke ahsanoon ko yaad rakho,us ke ahkamat ko pura karo or Allah se daro 41 & 42 Quran per iman lao jo pehli kitabon ki be tasdeek karta hai 43 Is kitaab ko loogon se na chupaoo ya rad o badal na karoo 44 Namaz qaim karo or zaqat do
- r ajzee ikhtiar karo
Jis deen ke logon ko tableeg karo tu khud be us par amal karo
10
RUKU
KU #5
#5
Ayat no Do’s Don’ts 45 Sabar or namaz se madad lo
- r Allah se dernay waloon ko
namaz mushkil nahi lagti
46
Is baat ko yaad rakho ke Allah se mulakat ho gi or usi ki taraf lot ker jana hai
11
RUKU
KU #6
#6
Ayat no Do’s Don’ts
47
Is baat ko yaad rakho k Allah ne bohat se naimatoon se nawaza hai or tamam dunyia waloon per fokiat de hai
48
Qiyamat ke din ko yaad rakho, us din sirf apne amal kam ain gay Sifarish per ass na lagao kunki us din kisi se koi mawza,madad ya sifarish nahi lee jaey ge
52
Allah toubha kernae per maaf kerta hai taa’ke insaan sukarguzar ban sakain
53
Is baat ko yaad rakho k Allah ne jitni kitabain bhaijee wo loogon ki hadayat or rehnamayi k liey hain
12
RUKU
KU #6
#6
Ayat no Do’s Don’ts
54
Jaisay he gunah ka ehsaas ho jaey tu foran touba karain. Beshak wo touba kabool farmanay wala hai 57 insaan ko naimaitain mile tu is per ikhtiari sabar kerna chahiae
59
Allah ke hukam adooli na karo warna Allah ki pakar ati hai
13
RUKU
KU #7
#7
Ayat no Do’s Don’ts
60
Allah ka shuker ada kartay hoey uska diya hoa rizq khao Zameen main fisaad mat philao
61
Jo naimat Allah nay atta ke hai uska shukar ada karo and qanaat pasand bano Bay sabray pan or dunia daari say bacho
14
RUKU
KU #8
#8
Ayat no Do’s Don’ts 62 Imaan lao Allah pay or akhrat k din par or naik amal karo ta k falah pa jao 63 Allah ke attayat he hamain aag say bacha sakti hai Ehad baandh kar torna nahi 64 Allah ke rehmat say mayoos na hona 66& 67 Allah saza dainay pay be kadir hai, pichli aqwaam k azabo say sabaq lo or unke ghaltiyan na dohrao Allah ko dhoka denay walay kaam nahi karo wo tu dilo k baid say waqif hai 68 Jab Allah ka hukam a jaey tu maan lo, hujjat mat karo, jahilo say bat kartay waqt Allah ke panah mango
15
RUKU
KU #8
#8
Ayat no Do’s Don’ts 69 Allah ka hukam a janay kay bad sawal pay sawal nahi karnay kion kay jitnay ziyada sawal hotay jain gay utna he hukam sakht ata jaey ga 71 Bila waja tajjasus Allah k ghazab ko dawat dainay kay mutradif hai is liey ziyda sawal jawab na karo
16
RUKU
KU #9
#9
Ayat no Do’s Don’ts 72 Mout kay bad zindagi bar haq
- hai. Is liey dunia main aisi
zondagi guzaro k agay jawab dahi main asani ho Kitna be apnay gunaho ko chupa lo, Allah zahir karnay wala hai is liey ruswayi say bachna hai tu gunaho say bacho 73 & 74 Dunia main jaga jaga Allah nay aqalmando k liey nishaniyan rakhi hain, is liey un nishaniyon pay ghour karo Dil pay sakhti na anay do. Musalsal nafarmani say dil sakht ho jatay hain 75 Hamainn apney matlab ka Islam na lo bulkay Allah k har hukam ko mano. 77 Allah sab zahri or poshida batoon ko janta hai.is liey khabardar raho 79 Dunia kamanay k liey mazhab ke aard mat lo
17
RUKU
KU #10
Ayat no Do’s Don’ts 83 Allah k siwa kisi ke abadat na karo.Waldain k sath husne salook karo.namaz qaim karo,zakat do, yateem,maskeen or qarabat daron k sath achi bat karo Yahood o nisara ke tarah Allah say ehad kar k mukro mat 84 Katal mat karo. Or apne hum watno ko watan say mat nikalo 85 Allah kay har hukam ko manana hai, yea nahi kay aik hukam maan liya or dosra jutla diya Sirf dikhaway k liey naiki nahi
- karni. Naiki tu wo hai jo khalis
Allah k liey kee jaey 86 Akhrat k mukablay main dunia ke zindagi ko tarjeeh na do werna Allah ke pakar aey ge
18
RUKU
KU #11
Ayat no Do’s Don’ts 87 Takabur nahi krna or Allah k hukmon ko manna hai 91 Allah nay apnay nabiyon k zariey jo paigam hum tak pohanchaya hai us pay amal karo 92 Apne apne bachray ko pehchano k dunia ke kon c mohabbat main hum anday banay hoey hain 93 & 94 Apni akhrat ko har waqt yad rakho kion k akhir kaar hamain usi ke taraf lout k jana hai Allah kay sath kiey hoey ehad ko tordo mat jaisa k yahoodio nay kiya tha jab toor pahar unk sar pay la khara kiya Allah nay
19
RUKU
KU #12
Ayat no Do’s Don’ts
97
Tamam farishto or rasoolon pay iman lao Kisi b nabi ya farishtay k sath bughaz nahi rakhna werna Allah sath nahi day ga
99
Sirf kafir he Allah ke ayaat ka inkar kartay hain is liey apna shumar muslims main krna hai na kay kufaar main
102
Subha, sham ke duain, and ayat ul kursi or muaaz teen parain ta kay har kisam k jado say bach jao Kisi be qisam k jado k peechay na jao. Jado aik shaitani amal hai chahay jis b maqsad k liey kiya jaey ya jis b niyat k liey kiya jaey
20
RUKU
KU #13
13
Ayat no Do’s Don’ts 104 Deen walon ke izzat karo or unk liey dil main koi bughz na rakho 106 Allah nay Quran main ba tajreed ahkaam nazil kiey hain is liey us tarteeb pay imaan lao 107 Dost or madadgaar tu sirf Allah he hai is liey usi say mango Sirk main na paro.Allah ke zaat
- r siffat main kisi ko shareek
mat banao 110 Namaz qaim karo or zakat do, apni akhrat k liey saman akatha karo 111 Akhrat main jannat ke jhoti umeedain laga kar mat betho
21
RUKU
KU #14
Ayat no Do’s Don’ts 113 Har qism k ikhtilaaf main Quran ko kasoti banao ulama ka apas ka ikhtilaf ummat ko tor deta hai, es liye aapas k ilhtilaf se bacho. 114 Masjidon main aajizi se dartay huay dakhil ho. koi esa kaam na karo jo logon ko masjidon se door kr de 115 Sirf Allah ki muhabbat hi ummat ko jornay ka wahid tareeqa hai 116 Sirf Allah ka farman-berdaar banna hai Allah swt ki zaat ya siffaat main kisi ko shareek nahi thehrana.
22
Ayat no Do’s Don’ts 118 Allah ki nishaniyon pe ghor o fikr kerna hai 119 Deen main mufahamat wali batain shamil nahi kerni 120 Sirf Allah hi se madad mangani hai Yahood o nasara se mushabihat nahi ikhtiyar kerni. 121 Quran ka haq ada kernay walay banna hai Es pe eman la kr
23
RUKU
KU #15
Ayat no Do’s Don’ts 122 Allah ne jo fazeelat di, ab deen phela kr us zimmay daari ko pura karo jo fazeelat pichlay logon ne mehnat se haasil ki,usay sirf daawon se hasil kernay ki koshish na karo 123 sifarish ki umeed pe naik amal kerna na choro. 124 Apni aulad k liye bhi duniya or akhirat ki bhalayi mango 125 Allah k ghar main ruku,sujjud
- r aitikaf karo
Allah k ghar main bad amni phailanay walay kam na karo 126 Deen or duniya dono mango
24
RUKU
KU #15
Ayat no Do’s Don’ts 127 Asal cheez qabooliyat hai, qabliyat nahi. Hamaray ammal main koi aisa amal na ho jo qabooliyat main rukawwat ban jaey 128 Bari se bari naiki kernay k baad bhi touba karo. pata nahi haq adaa hua ya nahi. naiki kr k itrao mat. Kia pata Allah k han kabol ho kar radd ho jaey
25
RUKU
KU #16
Ayat no Do’s Don’ts 131 Allah k samnay har waqt,har haal main Ibrahim a.s ki tarasar jhukanay k liye tayyar raho 132 Aulad ki aisi tarbiyat karo k wo bhi deen k liye jiyen or musalman hi marain. Allah k siwa kisi ki ibadat na karo 134 Har kisi ko es k amal ka hisaab khood dena ho ga. Is liey nabiyon k sath nisbat rakh kr bakhshish ke umeed na rakho 135 Choti chhoti jamaton main but kar mukhtalif namon ko hidayat ka mayar na banao
26
RUKU
KU #16
Ayat no Do’s Don’ts 136 Tamam nabiyon pay billa tafreeq iman lao 138 Allah ka rang behtareen hai,es main rung jana hai. Hamara zahir o batin doosaron se impressed nahi hona chahiaye. 140 Har shakhs say usk apne amaal k baray main sawal kiya jaey ga is liey purani aqwaam k baray main nahi fikar karo
27
RUKU
KU #17
Ayat no Do’s Don’ts 143 Ummat e wast ke zimmay darion ko nibao kion k Allah nay muslims ko umat e wasat bana kr Afzal umat bana diya Rasool ke kissi bat say inkaar na karo kion k rasool wo kehtay hain jo Allah ka hukam hota hai 145 Allah or USK rasool ke attayat karo ager shaitan ke pairwi ke tu zalimo main say ho jao gay 147 Allah ke taraf say Nabi par utreney wala hukm sach hai is liey shak karnay walon say na ho jao
28
RUKU
KU #18
Ayat no Do’s Don’ts 150 Masjid e Haram ki taraf munh kr k namaz paro jahan kahin be ho Kisi say na daro siwaey Allah k 151 Kitab or hikmat seekho, is k liey Hadees or Quran ke taleem dono zarori hai 152 Allah ko yaad karo, Allah be tumhain yad karay ga
29
RUKU
KU #19
Ayat no Do’s Don’ts 153 Namaz or sabar say Allah say madad mango 154 Allah k rastay main shaheed honay walon ko murda nahi keho kion k wo zinda hain or hamain us ke khabar nahi 156 Kisi b mubseebat k anay pay dua karo or yad rakho k akhir hamain Allah he ke taraf lout kar jana hai 158 Haj k doran safa or marwa ke sayi krna hai kion k yea Allah ke kadardani ke aik nishani hai 159 Allah ki batton ko mat chupao
30
RUKU
KU #19
Ayat no Do’s Don’ts 160 Ager koi gunah ka kaam ho jaey tu foran touba karo or apni islah karo 161 Kufer mat karo werna Allah or farishto ke lanat paray ge 163 Sirf or sirf aik Allah ke ibadat karo
31
RUKU
KU #20
#20
Ayat no Do’s Don’ts 164 Qudratt ki nashaniyon say aqal hasil karo 165 Haqooqul ibad k naam par Allah k haqooq kisi or ko nahi do 166 Qiyamat walay din sab asbaab kat jain gay is liey apne amal aisay rakho k bakhshay ja sako 168 Halal or tayyab main say khao Shaitan k kadmo ke pairwi mat karo
32
RUKU
KU #21
#21
Ayat no Do’s Don’ts 169 Shaitan burrayi or bay hiyayi ka hukam deta hai is liey usk behkaway main anay say bacho 171 Abao ajdad ke andhi taqleed mat karo bulkay hamesha har mamlay main Allah k hukam ko samnay rakho na k maashray k 172 Allah k diey hoey rizk main say pakeeza or halal cheezain khao or uska shukar ada karo 173 Haram say bacho jaisa k murdaar, khoon,sour ka gosht
- r jis pay gair Allah ka name
liya gia ho
33
RUKU
KU #22
#22
Ayat no Do’s Don’ts 177 Iman lao Allah par, rozay akhrat par,frishto pay,kitabo pay,maal kharch karain rishtay daro,maskeeno par,musafron par or qaidiyon par,namaz qaim karo,zakat do 178 Qassas k jo tarikay Islam nay bataey hain un pay amal karo 180 Marney say pehley apney rashtey daroon k liey wasihat karo Wasiyat ko mat badlo werna gunahgaro main shumar ho gay 182 Wasiyat ko is surat main badlo jab gunah ya taraf dari ka andesha ho
34
RUKU
KU #23
#23
Ayat no Do’s Don’ts 183 Eeman walo farz ker diya gaya tum per k rozay rakho 184 Agar bemar ho ya safar main ho to ramzan k baad doosre dino main rozay rakho or bad main tadaad pori karo 185 ramazan k maheene main mojood ho to poore maheene k rozay rakho or bemar ya safar main ho to baad main rozon ka shumaar poora karo 187 Rozon ki raato main biviyun se mubashrat kerna chaho to ker lo. Jub tum aitkaaf main betho to apni bviyun se mubasharat na karo or Allah ki inn hadood se bahir na niklo
35
RUKU
KU #24
#24
Ayat no Do’s Don’ts 189 Naiki ye hai k Perhez gar bano Allah se daro ta k kaamyabi paao Ehraam ki haalat main ho or ghar jana perhe to apne gharo ki pusht se na jao. samne k derwazay se aao 190 Jo loug tumse maidaan e jang main larhne aain un se Allah ki raah main larho Dushman se larhai k doraan ziadti na karo 191 Dushman ko maidan e jang main muqaablay k liye saamne paao to qatal ker do 193 Kafiron se uss waqt tak larhte raho jub tak fassaad khatam ho jaye or Allah ka deen ghaalib aa jaye Agar kafir fassaad se baaz aa jain to un per ziadri na karo 195 Allah ki raah main kharch karo or naiki karo
36
RUKU
KU #24
#24
Ayat no Do’s Don’ts 196 Allah ki khush noodi k liye hajj or umra poora karo or agar raastay main kisi mushkil ki waja se rok liye jaao to jo qurbani muyassar aye karo Jub tak qurbani apne muqaam per na puhanch jaye sir na mundaao
37
RUKU
KU #25
#25
Ayat no Do’s Don’ts 197 Hajj k liye zaad e rah saath lo
- r behtreen zaad e rah Taqwa
hai Jo shakhs hajj ki niyyat kr le to hajj k dino main na shahwat kare, na gaali de or na larhai jagrha kare 198 Arfaat se wapsi par muzdalifa main ruko or Allah ka zikar karo 199 Irfaat ja kar hajj ka khutba suno werna hajj pora nahi ho ga 200 Manisk e hajj ada kartay waqt Allah ko yad karo Duaaon main sirf duniya na maango warna akhrat main koi hissa nahi hoga 201 Dua maango to duniya or akhrat dono ki bhalaai b maango or aag se nijaat b
38
RUKU
KU #25
#25
Ayat no Do’s Don’ts 208 Islam main puray puray dakhil ho jaao. Tumhara dil, aqal, amal, qaul o fail sub islam main aa jaaye Sirf ibadaat ko namaz rozay tak na rakho amal b karo or aadhay islam main adhay bahir jaisi kaifiyyat na ho 209 Roshan nishanio k bad haq ko na jhutlao
39
RUKU
KU #26
#26
Ayat no Do’s Don’ts 211 Allah ki naimaton ki qadar karo, us k ahkaam maano Bani israeel ki tarah na bano jinho ne Allah ki naimaton ki na qadri ki or uss k wazeh ahkaam ko badal daala 212 Ek hadh main reh k dunia ki khubsurati ko apnayein Allah ki marzi k mutabiq rizq kamayen chahay kam hi nafa ho 213 Allah ki taraf se wazeh ahkaam a jane k baad zid or taasub se haq ko jhutlaane waalay na bano 215 Maal kharch karo to darja ba darja ehle istehqaaq ko do Maal ki mohabbat dil se khatam karo
40
RUKU
KU #27
#27
Ayat no Do’s Don’ts 217 Allah k deen ko ziada se ziada phailao or hurmat k maheeno ka ehtraam karo 218 Allah ki raah main kisi qurbaani se guraiz na karo khaw wo jahaad ho ya hijrat ehsaan faramosh na bano 219 Allah ki raah main apni zaroorat se ziada maal kharch kr do Sharab or juaa sakht gunnah k kaam hain in k nuqsaan faidon se ziyada hain 220 Yateemo ki islah karo or un ko khaane peene or kharch k maamlay main apne saath mila lo wo tumhare bhai hain Yateemon ka maal na haq na khaana 221 Nikah karo to momin oraton
- r mardon se karo chaahay wo
koi ghulaam ya londi hon lekin momin hon
41
RUKU
KU #28
#28
Ayat no Do’s Don’ts 222 Haiz k dino main apni bviyun se kinara kash raho jub tak bviyan paak na ho jaain un k paas na jaao 223 Tumhari bviyan tumhari kheti hain pus unk paas jis tarah tum chaaho aao 224 Allah ko apni qasmo k liye dhaal na banaao 225 Allah ki qasmain agar dil se khao to unko na torho warna Allah k haan pakarh hogi 226 Jo loug apni orto k paas janay se qasam kha lete hain (eela) wo 4 mah tak intezar karain
42
RUKU
KU #28
#28
Ayat no Do’s Don’ts 228 Mutallaqa aurten 3 mah ki iddat guzaarain agar mutallaqa aurat hamal se hai to wo ye bat na chhupaaye
43
RUKU
KU #29
#29
Ayat no Do’s Don’ts 229 Talaq denay k bad haq mehar ya tofay wapis na lo 230 agar shohar apni bv ko 3 talaaqen de day to halaala kiye bagher wo aurat uss per halaal nahi hogi 231 Allah ki nematon ko yaad rakho or jo kitab or hikmat ussne tum per nazil ki hai uss se naseehat hasil kero Jub shohar talaaq de day to iddat poori hone per bv ko takleef dene k liye uss se ruju na keray or bv per ziadti na kere
44
RUKU
KU #30
Ayat no Do’s Don’ts 232 Jub shohar talaaq de den or unki bviyun ki iddat poori ho jaye to wo aurton ko apne hone wale shohar se nikaah kerne se na roko 233 maa apne bachay ko do saal dodh pilaye.Doodh pilane wali mutallaqa maaon ka naan nafqa unk shohar yani bachay k baap k zimme hai usski haisiyat k mutabiq Mutallaqa Maa/baap ko bachay ki wja akleef na do or maa/baap ko bachay se milne say na roko 234 Beva aurat apne apko 4 mah 10 din tak rokay rakhay (doosre nikaah se) 235 Iddat k dino main aurton se nikah ka qol o iqrar na kero
45
RUKU
KU #31
Ayat no Do’s Don’ts 236 Agar biwiyun se mubashrat kerne ya haqq meher muqarrar kerne se pehle unko talaq de do to kuchh kharch de do unko 237 Apas main ehsaan karna mat bholo 238 Apni namazo ki hifazat kero. Khaas tor pe dermiyani namaz ke 239 Agar khouf main ho to paidal ya sawaar namaz ada kero. Or jub aman main ho to Allah ko wesay he yaad kero jesay ussne tumhei sikhaya
46
RUKU
KU #31
Ayat no Do’s Don’ts 240 In aurton k shohar wafaat pa jain unko aik saal tak kharch do Jin aurton k shohar wafaat paa jain unko ghar se na nikaalo 241 Jo mutaqqeen hen wo apni mutallaqa bv ko dastoor k mutabiq naan nafqa den
47
RUKU
KU #32
Ayat no Do’s Don’ts 243 Allah he mout or zindgi deta hai to Uss ki na shukri na kero 244 Allah ki rah main larho or jaan rakho Allah sunne wala jannay wala hai 245 Allah ko qarz e hasana do kio k wohy khush haali or tungdasti deta hai Allah ki raah main ghatiya cheez nahi deni 246 Allah ki rah main laro tu apne zaati maqsad ko beech main na lao 247 Allah k faislo pe raazi hona
- hai. Wo jaanta hai kisko
leadership k liye muntakhib kerna hai
48
RUKU
KU #33
Ayat no Do’s Don’ts 249 dushman ki ziada tadaad dekh ker Allah ki rah main larhne se peeche nahi hatna 250 agar beech main kuchh saathi sath chhorh jaain to himmat na haaren 251 Allah k nabiyon k munkir na banain werna Allah apni hikmat or badshahat say shikast day sakta hai jaisay Hazrat Dawood k hatho jaloot ko hoi 253 Allah k nabi or Uski khuli nishaniyan dekhne k baad aapis main ikhtalaaf ker k firqay nahi bnanay
49
RUKU
KU #34
Ayat no Do’s Don’ts 254 Allah ke rah main Allah k diey hoey rizq say kharch karo 256 deen e islam main daakhil kerne k liye kisi kaafir pe zaberdasti na kero 257 Taghoot k dost na bano wo tumhei roshni se andhero main le jaye ga
50
RUKU
KU #35
Ayat no Do’s Don’ts 258 tableegh k liye kainaat ki misaalen do ussk baad kitaab ki tableegh kerte hue lambi chorhi behes na kero 259 Allah he mout or zingadi denay pay qaadir hai is liey dunia main apnay amaal aisay rakho k akhirat main kamyab ho jao 260 Hazrahim ke misaal say sabbaq hasil karo jab unho nay Allah say mout or zindagi k baray main sawal kiya
51
RUKU
KU #36
Ayat no Do’s Don’ts 261 Allah ke raah main soch samjh kar kharch karo 262 Allah ki rah main khulay din
- r khaloos e niyyat se do
Fe sabeel Allah kharch krne K baad na ehsaan jatlao na azziyyat do 263 Agar kisi ko kuch nahi de sakte to narmi or pyaar se samjha do. 264 Apnay nafson par kaabu rakho or kharch krte hue riyyaakari se bacho Ehsan jata kar, takleef de kar
- r dikhawa kr k apne sadqaat
ko zaaya na karo 265 Apnay maal sirf Allah ki khushnoodi k liye kharch karo chahay thorha sa hi karo lekin khaloos e dil se karo
52
RUKU
KU #37
Ayat no Do’s Don’ts 267 Allah ki raah main dete waqt khud ko receiving end pe rakho k yahi khud ko milay to kaisa lage. Deen k naam pe bacha khucha
- r buri cheezen na do. sadqa dil
ki sachai ka naam hai is liye usay sidq e dil se do 268 Allah tum se apni rehmat or bakhshish ka waada krta hai uss par yaqeen rakho Shaitaan ka kaha na maan'na wo tumhen tangdasti ka khauf dilaata or behayaai ki taraf maiyl krta hai 269 Hikmat se kaam lo or thik jaga thik waqt par thik faisla karo k kahan kharch krne se khair e kaseer milay ga 270 Allah ne zakat farz ki hai us ke farz kiye hue hr hukm ki tameel karo Nazar maan'na na pasandida amal hai is se ijtnaab karo Allah k saath sharten na baandho
53
RUKU
KU #37
Ayat no Do’s Don’ts 271 Allah ki rah main zaahir kr k b do or chhupa kr b Maal kharch kro to kisi ki izzat e nafs ko majrooh na karo 273 Allah k deen k taqazon ko pura krne waalon or deen ko ghalib krne waalon par kharch karo Safaid posh or khud daar log jo deen k kaamon main lage hain lekin kisi k aagay hath nahi phailaatay unhen un k huliye
- r chehron se pehchaano or
madad karo
54
RUKU
KU #38
Ayat no Do’s Don’ts 274 Allah ki rah main din ho ya raat, zaahir kr k do ya poshida kharch krte raho Allah pura pura sila de ga 275 Sood mat khao..Allah nay tajarat ko halaal kiya hai laikin sood ko haraam karar diya hai is liey is say bacho 278 Allah se daro or jo sood main se baaqi reh gaya wo chhorh do 279 Touba kar lo or sood chhorh do to tum ko apni asal raqam lene ka haq hai Nafarmani kr k Allah or uss k Rasool se jung ka ailaan na karo tum kisi b tarah Allah par ghalib nahi aa sakte
55
RUKU
KU #38
Ayat no Do’s Don’ts 280 Qarz lainay wala agar tang dast ho to ussay kashaiysh k hasil hone tak mohlat do 281 Us din se daro jab Allah ki taraf lautaaye jaao ge Be khauf ho kar zindagi mat guzaaro Tumhen apne amaal ka pura pura badla milay ga
56
RUKU
KU #39
Ayat no Do’s Don’ts 282 Qarz ka mamla krne lago to ek dastawaiz likh lo ta k yaad rahe or waqt par pura pura qarz ada kr do 282 Qarz ka maamla likhne lago to gawah kr lia karo. Do mard na hon to ek mard or do
- raton ki gawahi lo
Qarz ki dastawaiz likhne waala, likhne se inkaar na kare
- r jab b usse talab kia jaaye wo
inkaar na kare 283 Agar tum safar main ho or koi qarz ka maamla likhne waala na mil sakay to rehan main kuch rakh lo Shahadat ko kabhi mat chhupaana jo aisa kare ga wo dil ka gunnahgaar hoga 283 Agar koi kisi ko ameen samjhe to amanatdaar, sahib e amanat ki amanat ada kr de
57
RUKU
KU #40
#40
Ayat no Do’s Don’ts 284 Dil se toot kr Allah se sidq e dil se dua maango wo zaror qabool farmaata hai hamain hr zahir or dil main chhupai hui hr baat ka hisaab dena hai is liye kisi b waqt Allah ko na bhoolen. 285 Allah ka hukm sun kr ataa'at ka waadha kro Dheet ban k Uss ki Nafarmaani na karo 286 Koi bhool chok ho jaye to foran touba karo or bakhshish
- maango. Allah se dua krte
rehna chahiye k wo hamein sakht tareen aazmaishon se bachaaye or hum pe reham kare hamain bakhsh de or kaafiron ki qaum par hamein ghalib farmaaye.
58
Duain
ُنيِلَعلا ُعيِوُّسلا َتًَْأ َكًُِّإ اٌُِّه ْلُّثَقَت اٌَُّتَز [ جسقثلا:127] آٌَْيَلَع ْةُتَو اٌََكِساٌََه اًَِزَأَو َكُّل ًحَوِلْسِّه ًحُّهُأ اٌَِتُّيّّزُذ يِهَو َكَل ِيْيَوِلْسُه اٌَْلَعْجاَو اٌَُّتَز ِإ ُباُّوُّتلا َتًَأ َكًُّ ُنيِحُّسلا [ جسقثلا:128] ِزاٌُّلا َباَرَع اٌَِقَو ًحٌََسَح ِجَسِخلأا يِفَو ًحٌََسَح اَيًِّْدلا يِف اٌَِتآ اٌَُّتَز [ جسقثلا:201] َييِسِفاَكلا ِمْوَقلا ىَلَع اًَْسُصًاَو اٌََهاَدْقَأ ْتّّثَثَو ًاسْثَص اٌَْيَلَع ْغِسْفَأ اٌَُّتَز [ جسقثلا:250]
59
Duain
اًَْؤَطْخَأ ْوَأ اٌَيِسًُّ ىِإ اًَْرِخاَؤُت َلب اٌَُّتَز [ جسقثلا:286] اًَْؤَطْخَأ ْوَأ اٌَيِسًُّ ىِإ اًَْرِخاَؤُت َلب اٌَُّتَز [ جسقثلا:286] اٌَِلْثَق يِه َييِرُّلا ىَلَع ُهَتْلَوَح اَوَك اًسْصِإ اٌَْيَلَع ْلِوْحَت َلبَو اٌَُّتَز [ جسقثلا:286] ًَْسُصًاَف اًََلبْوَه َتًَأ اٌَْوَحْزاَو اٌََل ْسِفْغاَو اٌَُّع ُفْعاَو ِهِت اٌََل َحَقاَط َلب اَه اٌَْلّّوَحُت َلبَو اٌَُّتَز ا ىَلَع َييِسِفاَكْلا ِمْوَقْلا [ جسقثلا:286]